Independence day Urdu word slogan

Stairway to Freedom

Relive the freedom struggle through these Urdu Words.

The struggle for freedom has been long and arduous till it reached the destined day.

Protest in Urdu, the first step in a freedom struggle

na intizaar karo kal ka aaj darj karo
khamoshi todD do aur ihtejaaj darj karo
~Mirza Athar Zia

Rebellion in Urdu, the second step in a freedom struggle

See how Sahir Ludhianvi visualised “Bhagawat” and “Inquilaab” in his nazm Aaj

Revolution in Urdu, the third step in a freedom struggle

…saathiyo! main ne barson tumhaare liye
inquilaab aur baghawat ke naghme alape
ajnabee raj ke zulm ki chhanw mein
sarfaroshi ke KHwabida jazbe ubhaare…

ؒLeader in Urdu, the fourth step in a freedom struggle

sab kuch mila hamein jo tere naqsh-e-pa mile
haadi mile daleel mile rahnuma mile
~Zaheer Dehlvi

Slogan in Urdu, the fifth step in a freedom struggle

kaam hai mera taghayyur naam hai mera shabaab
mera naara inquilaab o inquilaab o inquilaab
~Josh Malihabadi

Prison in Urdu, the sixth step in a freedom struggle

rok sakta hamein zindaan-e-bala kya ‘majrooh’
hum to aawaaz hain diwaar se chhan jate hain
~Majrooh Sultanpuri

Matrydom in Urdu, the seventh step in a freedom struggle

kuch usulon ka nasha tha kuch muqaddas khwab the
har zamaane mein shahadat ke yahi asbaab the
~Hasan Nayeem

Independence in Urdu, the eighth step in a freedom struggle

barq raftaari pe apni rashk karta tha jahaan
su-e-aazadi hamara qafila tha tez gaam
~Arsh Malsiyani

Flag in Urdu, the ninth step in a freedom struggle

tere maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
tu is aanchal se ek parcham bana leti to achha tha
~Asrar-Ul-Haq-Majaz

Anthem in Urdu, the tenth step in a freedom struggle

haal bana maazi ka fasaana
gunja mustaqbil ka taraana
~Sahir Ludhianvi

Democracy in Urdu, the eleventh step in a freedom struggle

sunne mein aa rahe hain masarrat ke waqi’at
jamhuriyat ka husn numayan hai aaj-kal
~Sheri Bhopali

Happy Independence Day 2018!
Yaum-e-Aazaadi ki pur-khuloos Mubarakbaad!